
Qaisar Siddiqi
yuun dil-e-divana ko aksar saza deta huun main
apni barbadi pe ḳhud hi muskura deta huun main
apne dil ke ḳhuun se vo gul khila deta huun main
regzaron ko gulistan ki ada deta huun main
aisi manzil par mujhe pahuncha diya hai ishq ne
mera jo qatil hai us ko bhi dua deta huun main
kyuun kisi ka naam le kar ishq ko rusva karun
apne dil ki aag ko ḳhud hi hava deta huun main
zikr yuun karta huun apne gham ka apne dard ka
hosh valon ko bhi divana bana deta huun main
kya guzarti hai mire dil par ḳhudara kuchh na puchh
dushmanon ko jab talak ghar ka pata deta huun main
apni hi avaz ḳhud lagti hai mujh ko ajnabi
jab akele men kabhi tujh ko sada deta huun main
nashtar-e-yad-e-gham-e-janan se ‘qaisar’ in dinon
zaḳhm jo sote hain un ko phir jaga deta huun main

Leave a Reply