• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Kis Se Lagaun Kahin Dilbar Nahin Milta

Dil Kis Se Lagaun Kahin Dilbar Nahin Milta

poet

dil kis se laga.un kahin dilbar nahin milta

kya zulm sahun koi sitamgar nahin milta

ḳhat le ke gaya jo vo kabutar nahin milta

kya zikr kabutar ka hai ik par nahin milta

zulfon ki tarah umr basar ho ga.i apni

ham ḳhana-ba-doshon ko kahin ghar nahin milta

kya ḳhaak mudava karen shorida-sari ka

sar phoḌne ko DhunDhen to patthar nahin milta

gunjalak nahin miTti jo tabi.at men paḌi hai

dil tujh se kisi taur se dilbar nahin milta

kya kijiye tarif bina gosh ki us ke

aveze ko jis kaan ke gauhar nahin milta

gum jab se hua huun main tiri rah-e-talab men

jab DhunDhta huun aap ko akasr nahin milta

kuchh talib-e-zar but hi nahin ghaur se dekho

haq yuun hai ki allah bhi be-zar nahin milta

surat nahin milti tiri surat se kisi ki

gahne se kisi ke tira zevar nahin milta

ara.ishen mauquf huiin kis liye ai jaan

gauhar nahin milta hai ki zar-gar nahin milta

abru ki mohabbat men kise ziist hai manzur

mar ja.un gala kaaT ke ḳhanjar nahin milta

rindan-e-mai-asham nahin jaam ke paband

ham ok se piite hain jo saghar nahin milta

vahshat men nikal ja.un main sarhad se zamin ki

is gumbad-e-gardan ka vale dar nahin milta

o barq-e-tajalli tire kushte ki lahad par

kya lauh bane tuur ka patthar nahin milta

hazir huun mujhe basta-e-fitrak-e-faras kar

gar said koi tark-e-sitamgar nahin milta

ashiq se na khinch aap ko ai badshah-e-husn

darvesh se kya jhuk ke tavangar nahin milta

jo zaḳhm ko siine ke siye Tanke jigar ko

aisa koi ustad rafugar nahin milta

ai ‘rind’ labalab ho jo irfan ki mai se

saghar vo ba-juz saqi-e-kausar nahin milta

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

firaq-gorakhpuri

Ai Rup Ki Laxmi Ye Jalwon Ka Rag

Kuchh Ajab Sa Hun Sitamgar Main Bhi

akbar-hyderabadi

Waris

Gham Ki Saughat Hai KHamoshi Hai

shahryar

Tambih

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet