dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai
par jaan tu bhi ho to ajab sar-zamin hai
sar ko na phenk apne falak par ghurur se
tu khaak se bana hai tira ghar zamin hai
rota phira hai kaun ye sar-gashta ai falak
jidhar nazar pade hai udhar tar zamin hai
aine ki tarah se nazar hai tu dekh le
raushan-dilon ki ghar ki munavvar zamin hai
shayad naha ke aaj nichodi hai tu ne zulf
ghar ki tamam teri muambar zamin hai
giiti ne zer-e-charkh rakha hai sabhon ko thaam
is kashti-e-jahan ki langar zamin hai
le dil se chashm tak mire dariya sa hai bhara
donon gharon ki gharq sarasar zamin hai
avval yahi hai bais-e-khun-rezi-e-jahan
zevar hai zan hai zor hai ya zan zamin hai
is tangna-e-dahr se jaun kidhar nikal
udhar hai asman aur idhar zamin hai
juz khun-e-kohkan na uge vaan se koi gul
shirin ki rah-e-ishq ki patthar zamin hai
raunde ho naqsh-e-pa ki tarah jis ko tum ‘hasan’
dekhoge koi din yahi sar par zamin hai
Leave a Reply