jangal uga tha hadd-e-nazar tak sadaon ka
dekha jo muḌ ke naqsha hi badla tha gaanv ka
jismon ki qaid toḌ ke nikle to shahr men
hone laga hai ham pe guman devtaon ka
achchha hua tahi hain zar-e-bandagi se ham
har moḌ par hujum khaḌa hai ḳhudaon ka
sahra ka ḳhaar ḳhaar hai mahrum-e-tishnagi
kitna sitam zarif vo chhala tha paanv ka
sar rakh ke ham bhi raat ke patthar pe so ga.e
ham ko bhi raas aaya na tesha vafaon ka
beganagi se mujh ko na yuun dekhiye ki main
hissa huun aap hi ke dariche ki chhanv ka
deta hai kaun dil ke kivaḌon pe dastaken
ye kaun ruup dhaar ke aaya havaon ka
‘farigh’ ghubar-e-rah ko tahqir se na dekh
paighambar-e-bahar hai mausam ḳhizaon ka
Leave a Reply