dil ki har baat dhyan men guzri
saari hasti guman men guzri
azal-e-dastan se is dam tak
jo bhi guzri ik aan men guzri
jism muddat tiri uqubat ki
ek ik lamha jaan men guzri
zindagi ka tha apna aish magar
sab ki sab imtihan men guzri
haae vo navak-e-guzarish-e-rang
jis ki jumbish kaman men guzri
vo gadai gali ajab thi ki vaan
apni ik an-ban men guzri
yuun to ham dam-ba-dam zamin pe rahe
umr sab asman men guzri
jo thi dil-taeron ki mohlat-e-bud
ta zamin vo udaan men guzri
buud to ik takan hai so khuda
teri bhi kya takan men guzri
Leave a Reply