dil ki dahliz suuni suuni hai
ab tamannaon ki barat nahin
ja lagega safina sahil se
na-khuda laakh apne saat nahin
log phir kyuun khushi pe marte hain
jante hain use sabat nahin
din banegi na raat kis ne kaha
din na hoga kabhi ye raat nahin
itne tanha na the kabhi ‘asi’
yaad bhi un ki ab to saat nahin
Leave a Reply