Dil Ki Baaten Dil Se Karna Itna Bhi Aasan Nahin

dil kī bāteñ dil se karnā itnā bhī āsān nahīñ

ḳhud kī ḳhātir ḳhud meñ rahnā itnā bhī āsān nahīñ

pal jo guzre terī ḳhātir mad-hoshī ke aalam meñ

ḳhāmoshī meñ sunte rahnā itnā bhī āsān nahīñ

hijr kī shab jab chāñd ko dekhā to mujh ko mahsūs huā

apne aap meñ til til mārnā itnā bhī āsān nahīñ

aap vafā ke paikar the ham hī vafā ko samjhe nahīñ

ḳhud ko hī ilzām ye denā itnā bhī āsān nahīñ

tum se bichhaḌ ke yaad tumhārī shāz-o-nādir hī aa.ī

Duubī āñkhoñ se ye kahnā itnā bhī āsān nahīñ

‘aslam’ aap haiñ sab se achchhe aur us par ma.asūm bahut

phūloñ ke ye nashtar sahnā itnā bhī āsān nahīñ

Leave a Comment