• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Basa-Auqat Aa Jate Hain Daman Se Gareban Mein

Basa-Auqat Aa Jate Hain Daman Se Gareban Mein

basa-auqat aa jaate hain daman se gareban men

bahut dekhe hain aise josh ashk-e-chashm-e-giryan men

nahin hai taab zabt-e-gham kisi ashiq ke imkan men

dil-e-ḳhun-gashta ya daman men hoga ya gareban men

mubarak badiya-gardo bahar aa.i bayaban men

numud-e-rang-e-gul hai har sar-e-ḳhar-e-mughilan men

ziyada ḳhauf-e-rusva.i nahin hai soz-e-pinhan men

dhuan hota hai lekin kam charagh-e-zer-e-daman men

hamesha pi ke mai jaam o surahi toḌ deta huun

na mera dil tarasta hai na farq aata hai iman men

maza kyuun kavish-e-zaḳhm-e-jigar ka aaj kam kam hai

namak ki koi chuTki rah ga.i hogi namak-dan men

janab-e-qais ne dil se bhulaya donon aalam ko

junun ke chaar harfon ka sabaq lekar dabistan men

bahar aa.i mila ye hukm mujh ko aur bulbul ko

ki vo kaaTe qafas men ḳhaak chhanun main bayaban men

tarannum-reziyan bazm-e-suḳhan men sun ke ‘sa.el’ ki

guman hota hai bulbul ke chahakne ka gulistan men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHuda Se Use Mang Kar Dekhte Hain

Mohabbat Ki Gawahi Apne Hone Ki KHabar Le Ja

mirza-ghalib

Afsos Ki dandan Ka Kiya Rizq Falak Ne

zehra-nigaah

Kyun Ai Gham-E-Firaq Ye Kya Baat Ho Gai

poet

dushman Ba-Nam-E-dost Banana Mujhe Bhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet