dil ḳhuun hai dil ka haal raqam ho to kis tarah
dil se qalam ka fasla kam ho to kis tarah
dil hai kahin dimagh kahin aur ham kahin
shiraza-e-hayat baham ho to kis tarah
kyuun kahen ki dard nahin hasil-e-hayat
pesh-e-nazar jo hai vo adam ho to kis tarah
dil se zaban zaban se chhani taqat-e-suḳhan
maa.il idhar mizaj-e-sanam ho to kis tarah
dilkash bahut hai tark-e-ta.alluq ka mashvara
ḳhud par magar ye turfa-sitam ho to kis tarah
main aur mere gard ye tanha.i-e-saqar
ai dil ilaj-e-soz-e-alam ho to kis tarah
kyuun zid hai shahr-e-yar ko ai ‘arsh’ is qadar
ye sar ki vaqf-e-dar hai ḳham ho to kis tarah
Leave a Reply