yaar ko mahrum-e-tamasha kiya
marg-e-mufajat ne ye kya kiya
aap jo hanste rahe shab bazm men
jaan ko dushman ki main roya kiya
arz-e-tamanna se raha be-qarar
shab vo mujhe main use chheda kiya
sard hua dil vo hai ghairon se garm
shole ne ulta mujhe thanda kiya
mehr-e-qamar ka hai ab un ko guman
ah-e-falak-sair ne ye kya kiya
un ko mohabbat hi men shak pad gaya
dar se jo shikva na adu ka kiya
dekhiye ab kaun mile khaak men
yaar ne gardun se kuchh iima kiya
hasrat-e-aghosh hai kyuun ham-kanar
ghair se kab us ne kinara kiya
chashm-e-inayat se bachi jaan mujhe
nargis-e-bimar ne achchha kiya
ghair hi ko chahenge ab ‘shefta’
kuchh to hai jo yaar ne aisa kiya