dil ke shajar ko ḳhuun se gulnar dekh kar
ḳhush huun na.i bahar ke asar dekh kar
sahra bhale ki zehan ko kuchh to sukun mile
ghabra gaya huun shahar ke bazar dekh kar
aage baḌhe to tirgi-e-shab ne aa liya
nikle the ghar se sub.h ke asar dekh kar
aansu gire to dil ki zamin aur jal uThi
barsa hai abr ḳhaak ka me.aar dekh kar
saare jahan ko halqa-e-matam samajh liya
apna vajud nuqta-e-pur-kar dekh kar
auron ko tu ne daulat-e-kaunain baanT di
gham mujh ko de diya hai saza-var dekh kar
baiThe to aanch dene lagi pipalon ki chhanv
aa.e the log saya-e-ashjar dekh kar
jis tarah koi bachhḌa hua dost mil gaya
ham muskura diye rasan-o-dar dekh kar
baiTha huun apne fikr ke saa.e men der se
har ashna ko un ka taraf-dar dekh kar
‘zulfi’ dukhon ki dhuup men jalte hue badan
badal guzar gaya hai ka.i baar dekh kar
Leave a Reply