• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Ke Qirtas Pe Ek Lafz Mohabbat Likhna

Dil Ke Qirtas Pe Ek Lafz Mohabbat Likhna

poet

dil ke qirtas pe ik lafz mohabbat likhna

jo kabhi ishq men ki thi vo riyazat likhna

likhne baiTho jo kabhi dil ki hikayat koi

naam us men mira tum hasb-e-rivayat likhna

pankhuḌi phuul ki lab aankh hai gahra sagar

abru hain tegh se aur chaal qayamat likhna

bhulne vaale agar yaad kabhi aa ja.un

bhigi palkon se faqat ashk-e-nadamat likhna

vaise aḳhlaq ki do chaar kitaben paḌh kar

ham ko aata hi nahin harf-e-siyasat likhna

tire hathon ko jo malik ne qalam saunpa hai

jhuuT ko jhuuT sadaqat ko sadaqat likhna

tum jinhen kahte ho kafar unhen aa kar dekho

kaise karte hain ye insan ki ḳhidmat likhna

ai gham-e-ishq mire paanv ke chhale gin kar

dasht-e-ulfat ki ye majbur masafat likhna

yaad hai pahli mohabbat ki ḳhumari ab tak

vo daraḳhton pe tira naam ‘masarrat’ likhna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kitne Dil TuTe Hain Duniya Ka KHabar Hone Tak

shaista-mufti

Khak Se Uthna Khak Mein Sona Khak Ko Banda Bhul Gaya

Chashm-E-Dil Jis Ki Rah Takti Hai

Shafiq Mausamon Ko Humne Ru-Siyah Kiya

Maulana Rumi

dosh Man Paigham Kardam Su-e-Tu Istara Ra

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet