• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Jahan Se Uthae Baithe Hain

dil Jahan Se Uthae Baithe Hain

poet

dil jahan se uthae baithe hain

sab ko dekhe dikhae baithe hain

chak-e-daman ye kah raha hai ki ham

dil ke tukde udaae baithe hain

vo sar-e-bazm haal kya puchhen

mere matlab ko paae baithe hain

ab ajal kyuun ki aaegi dekhun

vo ayadat ko aae baithe hain

karte hain yuun dua ki ham goya

haath asar se uthae baithe hain

agar aate hain vo to aane do

ham bhi ankhen bichhae baithe hain

us ke dil men asar kar ai girya

ghair kya ghar banae baithe hain

us ke vaade ko jante hain ham

shaam se zahr khaae baithe hain

dar se vahshat-zadon ko khud na utha

ye koi ek jaae baithe hain

ab to lab tak bhi aa na ai naale

ham tujhe azmae baithe hain

tum bhi kar jaao paemal ki ham

naqsh-e-hasti mitae baithe hain

kis ko dekh ai hazrat-e-‘salik’

aaj kuchh munh banae baithe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jigar-moradabadi

Kabhi Shakh O Sabza O Barg Par Kabhi Ghuncha O Gul O Khaar Par

Jo Jawabon Se Bhare the Wo Sawali Ho Gae

poet

dil Ke Zakhmon Ki Chubhan dida-E-Tar Se Puchho

Chain Ho Ya Bechaini Ho Pahle Dil Ghabraega

Hai Barham Phir Mizaj Un Ka Dil-E-Nakaam Kya Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet