Dil Jab Se Dard-E-Ishq Ke Qabil Nahin Raha

dil jab se dard-e-ishq ke qābil nahīñ rahā

ik nāgavār chiiz hai ab dil nahīñ rahā

vo maiñ nahīñ rahā vo mirā dil nahīñ rahā

ab un ko muñh dikhāne ke qābil nahīñ rahā

kyā iltijā-e-dīd karūñ dekhtā huuñ maiñ

ā.īna bhī hamesha muqābil nahīñ rahā

ab vo ḳhafā hue haiñ to yuuñ bhī hai ik ḳhushī

marnā hamāre vāste mushkil nahīñ rahā

duniyā ġharaz kī rah ga.ī ab is se kiyā ġharaz

chaliye ki lutf-e-shirkat-e-mahfil nahīñ rahā

sun sun ke ahl-e-ishq-o-mohabbat ke vāqi.āt

duniyā kā koī kaam bhī mushkil nahīñ rahā

duniyā ke nek-o-bad pe mirī raa.e kuchh nahīñ

ab tak idhar ḳhayāl hī maa.il nahīñ rahā

mujh se na pūchho hasrat-e-ārā.ish-e-jamāl

ā.īna ban ke un ke muqābil nahīñ rahā

ik nā-umīd ke liye itnā na sochiye

āzurda dil rahā bhī to be-dil nahīñ rahā

vo jaan le chukeñ to koī un se pūchh le

ab to kuchh us ġharīb pe fāzil nahīñ rahā

aayā na ḳhvāb meñ bhī kabhī ġhair kā ḳhayāl

ġhaflat meñ bhī maiñ aap se ġhāfil nahīñ rahā

be-bandagī bhī us kī rahī banda-parvarī

miltā rahā agarche maiñ saa.il nahīñ rahā

vo haath haiñ safī’ mujhe ik āstīñ kā saañp

gardan meñ dost ke jo hamā.il nahīñ rahā

Leave a Comment