dil ho kharab diin pe jo kuchh asar pade
ab kar-e-ashiqi to bahar-kaif kar pade
ishq-e-butan ka diin pe jo kuchh asar pade
ab to nibahna hai jab ik kaam kar pade
mazhab chhudaya ishva-e-duniya ne shaikh se
dekhi jo rail uunt se akhir utar pade
betabiyan nasib na thiin varna ham-nashin
ye kya zarur tha ki unhin par nazar pade
behtar yahi hai qasd udhar ka karen na vo
aisa na ho ki raah men dushman ka ghar pade
ham chahte hain mel vajud-o-adam men ho
mumkin to hai jo beach men un ki kamar pade
daana vahi hai dil jo kare aap ka khayal
biina vahi nazar hai ki jo aap par pade
honi na chahiye thi mohabbat magar hui
padna na chahiye tha ghazab men magar pade
shaitan ki na maan jo rahat-nasib ho
allah ko pukar musibat agar pade
ai shaikh un buton ki ye chalakiyan to dekh
nikle agar haram se to ‘akbar’ ke ghar pade
Leave a Reply