dil hai ki gham-e-dil ka aza-dar nahin hai
jaan hai ki sam-e-zist se bezar nahin hai
ya qad koi uThti hui divar nahin hai
ya sar koi sauda ka saza-var nahin hai
alfaz ke rangon ne jo tasvir bana.i
ye to mire jazbat ka iz.har nahin hai
nazdik bhi aa jhank ke dil men bhi zara dekh
malbus hi insan ka me.aar nahin hai
nikle ho kaḌi dhuup men jis raah pe ‘ali’
us rah men kahin saya-e-ashjar nahin hai
Leave a Reply