• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Hai Badi Khushi Se Ise Paemal Kar

dil Hai Badi Khushi Se Ise Paemal Kar

abdul-hamid-adam

dil hai badi khushi se ise paemal kar

lekin tire nisar zara dekh-bhal kar

itna to dil-fareb na tha dam-e-zindagi

le aae e’tibar ke sanche men dhaal kar

saaqi mire khulus ki shiddat ko dekhna

phir aa gaya huun gardish-e-dauran ko taal kar

ai dost teri zulf-e-pareshan ki khair ho

meri tabahiyon ka na itna khayal kar

aaya huun yuun bacha ke havadis se ziist ko

laate hain jaise koh se chashma nikal kar

thode se fasle men bhi haael hain laghzishen

saaqi sambhal kar mire saaqi sambhal kar

ham se ‘adam’ chhupao to khud bhi na pi sako

rakkha hai tum ne kuchh to surahi men daal kar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Duniya Ko Ru-Shanas-E-Haqiqat Na Kar Sake

Be-Hisi Chehre Ki Lahje Ki Udasi Le Gaya

Hazar Shukr Ki Andesha-E-Maal Gaya

Ishq Mein Dil Ka Ye Manzar Dekha

Jabin Ka Chand Banun Aankh Ka Sitara Banun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet