• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Hai Apna Ranj-E-Furqat Mein Sharik

dil Hai Apna Ranj-E-Furqat Mein Sharik

poet

dil hai apna ranj-e-furqat men sharik

khud aziyyat khud aziyyat men sharik

hai gham-e-ishq apni qismat men sharik

hai yahi har ek halat men sharik

yaad hai teri har aafat men sharik

kaun hota hai musibat men sharik

ab to dil ke saath meri jaan bhi

ho gai teri mohabbat men sharik

husn-e-kamil ka kamal-e-ishq dekh

kis ko vo karta mohabbat men sharik

nang-aqai hai meri bandagi

aap kyuun huun meri zillat men sharik

ghair phir vo hukm de mere khilaf

kya ye hai teri hukumat men sharik

husn ne ‘raghib’ khud apne ishq ko

kar diya har dil ki raghbat men sharik

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zehra-nigaah

Harf Harf Gundhe The Tarz Mushkbu Ki Thi

Nahin Ab Rok Paegi Fasil-E-Shahr Pani Ko

Dasht Mein Qais Nahin Koh Pe Farhad Nahin

baiThe Hue Hain Hum KHud Aankhon Mein Dhul Dale

Na Thin to Dur Kahin Dhyan Mein paDi Hui Thin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet