• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Gaya Dil-Lagi Nahin Jati

Dil Gaya Dil-Lagi Nahin Jati

dil gaya dil-lagi nahin jaati

rote rote hansi nahin jaati

ankhen saaqi ki jab se dekhi hain

ham se do ghunT pi nahin jaati

kabhi ham bhi taḌap men bijli the

ab to karvaT bhi li nahin jaati

un ko siine se bhi laga dekha

haa.e dil ki lagi nahin jaati

baat karte vo qatl karta hai

baat bhi jis se ki nahin jaati

aap men aa.e bhi to kya aa.e

lazzat-e-be-ḳhudi nahin jaati

hain vahi mujh se kavishen dil ki

dost ki dushmani nahin jaati

ho ga.e phuul zaḳhm-e-dil khil kar

nahin jaati hansi nahin jaati

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

mast ankhiyan ka dekh dumbaala

nida-fazli

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta

Sufi

Khudai Mujhko Mil Jati Khuda-e-do-Jahan Milta

Aankhon Mein Kahin Uski Bhi Tufan to Nahin Tha

sheikh-ibrahim-zauq

Guhar Ko Jauhari Sarraf Zar Ko dekhte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet