dil-e-divana o andaz-e-bebakana rakhte hain
gada-e-mai-kada hain vaza-e-azadana rakhte hain
mujhe mai-khana tharata hua mahsus hota hai
vo mere samne sharma ke jab paimana rakhte hain
ghataen bhi to bahki ja rahi hain in adaon par
chaman men jo qadam rakhte hain vo mastana rakhte hain
ba-zahir ham hain bulbul ki tarah mashhur harjai
magar dil men gudaz-e-fitrat-e-parvana rakhte hain
javani bhi to ik mauj-e-sharab-e-tund-o-rangin hai
bura kya hai agar ham mashrab-e-rindana rakhte hain
kisi maghrur ke aage hamara sar nahin jhukta
faqiri men bhi ‘akhtar’ ghairat-e-shahana rakhte hain
Leave a Reply