dil-e-bedar faruqi dil-e-bedar karrari
mis-e-adam ke haq men kimiya hai dil ki bedari
dil-e-bedar paida kar ki dil khvabida hai jab tak
na teri zarb hai kaari na meri zarb hai kaari
masham-e-tez se milta hai sahra men nishan us ka
zan o takhmin se haath aata nahin ahu-e-tatari
is andeshe se zabt-e-ah main karta rahun kab tak
ki mugh-zade na le jaaen tiri qismat ki chingari
khudavanda ye tere sada-dil bande kidhar jaaen
ki darveshi bhi ayyari hai sultani bhi ayyari
mujhe tahzib-e-hazir ne ata ki hai vo azadi
ki zahir men to azadi hai batin men giraftari
tu ai maula-e-yasrib aap meri charasazi kar
miri danish hai afrangi mira iman hai zunnari
Leave a Reply