• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Pe Rakhe Gae Ilzam Na Jaane Kya Kya

Hum Pe Rakhe Gae Ilzam Na Jaane Kya Kya

poet

ham pe rakhe ga.e ilzam na jaane kya kya

ban ga.e ek mohabbat ke fasane kya kya

manzil-e-dar-o-rasan qaid-e-sitam dasht-e-bala

paa.e hain ahl-e-mohabbat ne Thikane kya kya

koi andaz-e-nadamat koi naala koi ashk

DhunDe hain chashm-e-karam tu ne bahane kya kya

kabhi andhi kabhi tufan kabhi sho.ale kabhi barq

mere gulshan pe bhi guzre hain zamane kya kya

daulat sabr-o-sukun gauhar-e-ashk-e-rangin

ham ne ghurbat men luTa.e ḳhazane kya kya

nazar-e-ahl-e-mohabbat hi samajh sakti hai

lab-e-ḳhamosh pe hote hain fasane kya kya

ab mire samne jab koi gale milta hai

khinch ke aa jaate hain ankhon men zamane kya kiya

kabhi kaliyon ka tabassum kabhi taron ki chamak

dil taḌapne ke bhi hote hain bahane kya kya

kabhi halka sa tabassum kabhi chinpi si nazar

ham se puchho ki lage dil pe nishane kya kya

ham ḳhata-kar-e-mohabbat hain ye ham se puchho

husn-e-ma.asum ko aate hain bahane kya kya

an-ginat roz ḳhayalon ke mahal bante hain

sochta hai dil-e-betab na jaane kya kya

koi ‘sharib’ koi ‘mulla’ koi ‘ghalib’ koi ‘mir’

manzil-e-ishq se guzre hain divane kya kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

rumana-rumi

Kyun Yaqin Rakkhen Khayal-O-Khwab Par

poet

dukhata Hai Mera dil Be Alif Re

Jism-O-Jaan Kis Gham Ka Gahwara Bane

poet

Raat Ko Pahlu Mein Ek Taswir Raushan Ho Gai

poet

Ji Rahe Ya Na Rahe Har Qadam-E-Yar Na chhoD

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet