dil apna yad-e-yar se begana to nahin
goya ki khali mai se ye paimana to nahin
manta hai meri baat to nazren mila ke sun
ye mera hal-e-zar hai afsana to nahin
hanste ho mil ke duniya se kya mere haal par
main aap ka divana huun divana to nahin
ai shama tujh ko jalna hai ab us ki aag men
ik shoala tujh se lipta hai parvana to nahin
danista mujh se jaata hai ghairon ke samne
varna vo mere haal se begana to nahin
ai barq tujh ko dhoka hua mujh ko dekh kar
zalim qafas hai ye mera kashana to nahin
taskin-e-khulq-e-saqi ko piita huun main sharab
meri nazar men saaqi hai paimana to nahin
pas-e-adab hai kya uthe aankh is ke ru-ba-ru
is men saval-e-jurat-e-rindana to nahin
jhukte hain us ko har jagah maujud pa ke ‘soz’
dil men hamare kaaba-o-but-khana to nahin
Leave a Reply