dikha.i deti hai jo shakl vo bani hi na ho
ajab nahin ki kahani kahi ga.i hi na ho
jo kho chuka hai vahi ab ho mera sarmaya
jo mil gaya hai mujhe vo miri kami hi na ho
likha hi rah na gaya ho kahin mira qissa
guzar di hai jo vo meri zindagi hi na ho
hai kaun jis ki ho tahrir is qadar saffak
ye zindagi miri apni likhi hui hi na ho
dikha.i deta bhi hai ik tilism aur agar
main jis men dekh raha huun vo raushni hi na ho
vahan se ḳhvab koi aur le uḌa ho use
miri nigah tiri aankh men ruki hi na ho
ḳhuda-e-dahr mira hi shu.ur hai ‘kashif’
to ka.enat ki sazish kahin miri hi na ho
Leave a Reply