kabhi makan ki taraf hai kabhi makin ki taraf
kisi ka ruḳh hai azal se miri zamin ki taraf
charagh-e-lala hai raushan na surḳh ru-e-hina
faza-e-sehn-e-gulistan hai yasmin ki taraf
mire badan ne bhi is faisle pe saad kiya
ki dagh-e-sajda rahega faqat jabin ki taraf
tuyur-e-ḳhvab hon a.ine hon sitare hon
ravan-davan hain sabhi arsh-e-nilamin ki taraf
hua hai koi agar faisla mire haq men
kabhi main haan ki taraf tha kabhi nahin ki taraf
badal na pa.unga main asman badalne se
mira jhukav rahega usi hasin ki taraf
dayar-e-dil ka andhera agar chhaTa ‘sajid’
to dhyan ja.ega us sham-e-avvalin ki taraf
Leave a Reply