aai ai gul-ezar kya kahna
khuub aai bahar kya kahna
mehndi mal kar hai chot marjan par
haath lala-nigar kya kahna
mujh se ashiq ke aur yuun nafrin
vaah shabash yaar kya kahna
barq bhi darkinar rah jaae
haan dil-e-be-qarar kya kahna
laakh baar imtihan-e-ishq kiya
na kaha ek baar kya kahna
bahs-e-girya men abr bol gaya
dida-e-ashk-bar kya kahna
main to rota huun aap hanste hain
yahi hota hai yaar kya kahna
sakhti-e-ishq jhel le ai dil
vaah re burdbar kya kahna
mar gae ham magar na rahm aaya
vahi tevar hain yaar kya kahna
khaar khar-e-gham-e-dil-e-pur-dard
chikh kar ai hazar kya kahna
kah to lalkar len raqibon ko
baat rakh li nigar kya kahna
josh-e-ulfat men aur zabt ai dil
jabr par ikhtiyar kya kahna
yuun to jo gul hai khuub hai lekin
tera ai gul-ezar kya kahna
ai ‘saba’ daava-e-anal-haq hai
khuub soche ho yaar kya kahna
Leave a Reply