dikha.egi asar dil ki pukar ahista ahista
bajengge aap ke dil ke bhi taar ahista ahista
nikalta hai shagafon se ghubar ahista ahista
thamegi aankh se ashkon ki dhaar ahista ahista
rahi mashq-e-sitam jaari agar kuchh din janab aise
milenge ḳhaak men sab jan-nisar ahista ahista
muqaddar us ka murjhana hi to hai ba.ad khilne ke
kali par ya-ḳhuda aa.e nikhar ahista ahista
bana hai nazim-e-gulshan koi sayyad ab shayad
parinde ho rahe hain sab farar ahista ahista
mohabbat ke marizon ka mudava hai zara mushkil
utarta hai ‘sada’ un ka buḳhar ahista ahista
Leave a Reply