• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dida-E-Sarf-E-Intizar Hai Shama

Dida-E-Sarf-E-Intizar Hai Shama

poet

dida-e-sarf-e-intizar hai sham.a

meri halat ki yadgar hai sham.a

nahin dil men kisi ke soz-o-gudaz

ki tamasha-e-rozgar hai sham.a

pa.e-jumbish sada taḌapti hai

tapish-e-na-tavan shikar hai sham.a

ruḳh-e-raushan hai nur-e-bina.i

chashm-e-ushshaq ka ghubar hai sham.a

roz-e-tira men bad-numa ḳhurshid

shab-e-raushan men tira-kar hai sham.a

yad-e-gul-e-ruḳh se phuul jhaḌte hain

kis bashashat se nau-bahar hai sham.a

ḳhaak nasur-e-dil bhare is ka

zaḳhmi-e-girya-ha-e-zar hai sham.a

husn divana sab ko karta hai

apne hi aap par nisar hai sham.a

sub.h hote hi TimTimati hai

aap ki chashm-e-pur-ḳhumar hai sham.a

kyuun na ro.e na kis tarah se jale

ki fughani-e-raz-dar hai sham.a

nahin bujhti lagi hui ji ki

shola-e-jan-e-sogvar hai sham.a

hai idhar dagh-e-barq-e-parvana

aur udhar chashm-e-abr-bar hai sham.a

husn bhi hai ma.al-e-kar vabal

bazm-dar-bazm kya hai ḳhaar hai sham.a

jhankna parde se buri ḳhu hai

ḳhud-ba-ḳhud aap sharmsar hai sham.a

shab-e-tanha.i aur tu aur ye

ai ‘qalaq’ teri gham-gusar hai sham.a

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Rahe Raqib Se Baham Wo Sim-Bar Mahzuz

Sang-Dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin

bahadur-shah-zafar

dekh dil Ko Mere O Kafir-E-Be-Pir Na Tod

poet

Kyon Giraata Hai Mere Soch Ki Diwar Koi

Zulmat Hai to Phir Shoala-E-Shab-Gir Nikalo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet