duniya men baqa nahin kisi ko
marna ik roz hai sabhi ko
vo kaun hai jo hai aib se paak
kya koi bura kahe kisi ko
ma.alum hai va.ade ki haqiqat
bhula lete hain apne ji ko
ḳhud nur-e-ḳhuda ho tum men paida
dil se kho do agar ḳhudi ko
sau aibon ka ek aib hai ye
iflas ḳhuda na de kisi ko
mushkil nahin koi kaam lekin
himmat lazim hai aadmi ko
sach kah de ki hai qusur kis ka
munsif main ne kiya tujhi ko
maana ki sharab chhoḌi ‘kaifi’
aisa to kaho na mai-kashi ko
Leave a Reply