harf-e-dil na-rasa hai tire shahr men
har sada be-sada hai tire shahr men
koi ḳhushbu ki jhankar sunta nahin
kaun sa gul khila hai tire shahr men
kab dhanak so ga.i kab sitare bujhe
koi kab sochta hai tire shahr men
ab chanaron pe bhi aag khilne lagi
zaḳhm lau de raha hai tire shahr men
jitne patte the sab hi hava de ga.e
kis pe takiya raha hai tire shahr men
ek dard-e-juda.i ka gham kya karen
kis maraz ki dava hai tire shahr men
ab kisi shahr ki chaah baaqi nahin
dil kuchh aisa dukha hai tire shahr men
Leave a Reply