dhuup kyunkar na ho itab-zada
saaya saaya hai aftab-zada
niind aana vahan bura kyon hai
jagna bhi jahan ho ḳhvab-zada
hai tabhi se hujum sahil par
jab se tufan hue habab-zada
bahr ki kaifiyat ḳhuda ki panah
qatra qatra hai sail-e-ab-zada
le ke rone se muskurane tak
kya nahin aaj iztirab-zada
kaise aḳhir shanaḳht karte ham
dost dushman the sab naqab-zada
be-maza imtihan-e-zist hua
har saval aa gaya javab-zada
khul ke milte ‘nihal’ kya jis ki
be-hijabi bhi thi hijab-zada
Leave a Reply