dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar
vo rashk ye tha ki ghair se tuk hansa tha chanchal misi laga kar
faqat jo chitvan pe ghaur kiije to vo bhi vo sehr hai ki jis ka
karishma banda ghulam ghamza daghaen naukar fareb chakar
khiram ki hai vo tarz yaaro ki jis men niklen kai adaen
qadam jo rakhna to tan ke rakhna jo phir uthana to dagmaga kar
latak men bandon ki dil jo aave to khair bande hi us ko le len
vagarna aave to phir na chhode udhar se baala jhamak dikha kar
majal kya hai jo du-badu ho nazar se koi nazar ladave
magar kisi ne jo us ko dekha to sau kharabi se chhup chhupa kar
sune kisi ke na dard-e-dil ko vagar sune to jhidak ke us ko
ye saaf kah de to kya bala hai jo sar phirata hai nahaq aa kar
‘nazir’ vo but hai dushman-e-jan na miliyo us se tu dekh hargiz
vagar mila to khuda hai hafiz bache hain ham bhi khuda khuda kar
Leave a Reply