dhamki men mar gaya jo na bab-e-nabard tha
ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard tha
tha zindagi men marg ka khatka laga hua
udne se pesh-tar bhi mira rang zard tha
talif nuskha-ha-e-vafa kar raha tha main
majmua-e-khayal abhi fard fard tha
dil ta jigar ki sahil-e-dariya-e-khun hai ab
is rahguzar men jalva-e-gul aage gard tha
jaati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki
dil bhi agar gaya to vahi dil ka dard tha
ahbab charasazi-e-vahshat na kar sake
zindan men bhi khayal bayaban-navard tha
ye lash-e-be-kafan ‘asad’-e-khasta-jan ki hai
haq maghfirat kare ajab azad mard tha
Leave a Reply