den jise chahen dil hamara hai
is men kya aap ka ijara hai
bahki bahki jo karte ho taqrir
sach kaho dil kahan tumhara hai
jaan dete hain sabr karte hain
vaah kya hausla hamara hai
siine se lipto ya gala kaato
ham tumhare hain dil tumhara hai
paani talvar ka na piine diya
sukhe ghaat aap ne utara hai
Leave a Reply