dekhun to mire dil men utarta hai ziyada
sho.ala ki tah-e-ab nikharta hai ziyada
kya janiye kya baat hai ab dasht ki nisbat
dil ḳhamushi-e-shahr se Darta hai ziyada
andar ka vahi rog use bhi hai mujhe bhi
banta hai ziyada vo sanvarta hai ziyada
jo aankh ke jalte hue sahra se pare hai
badal usi raste se guzarta hai ziyada
ruḳh shahr ki janib hua jangal ki hava ka
aur shor mire dil men ubharta hai ziyada
‘ja.afar’ ye laga zaḳhm-e-mohabbat bhi ajab hai
baḌhta hai ziyada jo na bharta hai ziyada
Leave a Reply