tajraba jo bhi hai mera main vahi likhta huun
main tasavvur ke bharose pe nahin baiTha huun
jab main bahar se baḌa saḳht nazar a.unga
tum samajhna ki main andar se bahut TuuTa huun
jis ki ḳhushbu mujhe mismar kiya karti hai
main usi qabr pe phulon ki tarah khilta huun
barha jism ne phir zehan ne becha hai mujhe
kya main qudrat ki dukanon men rakha sauda huun
mera TuuTa hua chashma hi bharosa hai mira
apni ankhon se apahij main koi bachcha huun
Dubta dekh raha huun main ḳhudi men ḳhud ko
dil ki ik bench pe baiTha hua main hansta huun
Leave a Reply