• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tafazzulat Nahin Lutf Ki Nigah Nahin

Tafazzulat Nahin Lutf Ki Nigah Nahin

tafazzulat nahin lutf ki nigah nahin

muamla abhi mutlaq vo ru-ba-rah nahin

ghalat hai aah ki hai dil ko dil se raah nahin

ki teri chaah mujhe tujh ko meri chaah nahin

ghulam ham to hain aise mizaj valon ke

kisi ke saath kisi Dhab ki jin ko raah nahin

hamari chori jo sabit hui dalil bhi kuchh

muqir nahin koi shahid nahin gavah nahin

tavazo aap ki ham kya karen bhala sahib

ba-qaul shaḳhse is apne jigar men aah nahin

rukha.iyan jo yahi hain to is tarah apna

nahin nahin nahin hargiz nahin nibah nahin

haram se dair men yaan ab-o-dana le aaya

ba-rabb-e-ka.aba mira is men kuchh gunah nahin

na kuchh jihat na sabab qah-qah hanste ho

tumhari ḳhush mujhe aati ye qah-qah nahin

kahun ba-qaid-e-qasam la-ilaha il-lallah

ki tab-e-hijr bas ab mujh men ai ilaah nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Wo Majnun Ki Ek Sahra Hai Mujh Mein

nida-fazli

Chautha Aadmi

Aa Gae Ho to Raho Sath Sahar Hone Tak

Aag Ek Aur Laga Denge Hamare Aansu

Kisi Ki Chashm-E-Sada Yaad Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet