• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tujhse Talluqat Ki Tajdid Ke Liye

Tujhse Talluqat Ki Tajdid Ke Liye

afroz-rizvi

tujh se taalluqat ki tajdid ke liye

main ne charagh haath men ummid ke liye

phaili hai mere dil men tire dil ki raushni

lamhat-e-fikriya hain ye khurshid ke liye

ik sher tujh pe is tarah likkhun ki jis tarah

momin ka sher ghairat-e-nahid ke liye

chheda hai ek naghma-e-shirin bhi ku-ba-ku

dil ne hilal-e-id ki taid ke liye

su-e-falak nazar jo uthi to vuzu kiya

meri zaban ne kalma-e-tauhid ke liye

mere labon ne aaj qaside bahut padhe

apne khuda-e-pak ki tamjid ke liye

uthenge aaj meri taraf jab tire qadam

koi khabar na aaegi tardid ke liye

dekhun tujhe to daman-e-tausif kah uthe

ik harf bhi mile nahin tanqid ke liye

main sochti huun dasht-e-tamanna men aaj shab

ankhen taras na jaaen tiri diid ke liye

lekin mujhe yaqin hai tire asman par

utregi chand raat miri iid ke liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Charagh Samne Wale Makan Mein Bhi Na Tha

poet

Lab-E-Rangin Hain Tere Rashk-E-Aqiq-E-Yamani

Main Is Zamin Ki Dushwariyan Banaunga

poet

Ab Zard Libaade Bhi Nahin KHushk Shajar Par

Wo Nahin Yaro Kisi Bhi Baat Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet