dekhiye us ko to har baat gul-e-tar ki tarah
baat kiije to vahi shaḳhs hai patthar ki tarah
aql hairan hai kin alfaz men tarif karun
husn aur vo bhi chhalakte hue saghar ki tarah
barq-e-guftar sahi sho.ala vo talvar sahi
ham magar zarf bhi rakhte hain samundar ki tarah
azmaoge to ham jaan se guzar ja.enge
kaghzi sher nahin hain kisi afsar ki tarah
dil ko bahlate hain afsana-e-azadi se
ham ne ik tauq pahan rakkha hai zevar ki tarah
raaj karte hain vahi log dilon par ‘ḳhalid’
baḳhsh dete hain jo dushman ko sikandar ki tarah
Leave a Reply