dekh tu yar-e-bada-kash! main ne bhi kaam kya kiya
de ke kabab-e-dil tujhe haqq-e-namak ada kiya
kyuun sag-e-yar se khajil mujh ko pas-az-fana kya
kha gaya ustukhan mire tu ne ye kya huma kiya
zakhm-e-jigar se dam-ba-dam kab nahin khun-baha kiya
to bhi na qatil apne se daava-e-khun-baha kiya
us but-e-rashk-e-gul ne jab band-e-qaba ko va kiya
apni nazar ye ghuncha do haath se phir mala kiya
kaun se din na yaar ne chashm ko surma-sa kiya
kab na dil-e-siyah-bakht khaak men tu mila kiya
dilbar-e-shoala-khu ne jab zulf ko rukh pe va kiya
dil pe main sura-e-dukhan karne ko dam padha kiya
bada-kashi ko saqiya kis ki mujhe bata hubab
zor-e-bhanvar ke chaak par saghar-e-mai bana kiya
vasl ki raat ham-nashin kyunki kati na puchh kuchh
barsar-e-sulh men raha tis pe bhi vo lada kiya
pae-nigar se lipat chor bani to aap ko hi
haath na kyuun tire bandhin kaam ye kya hina kiya
dil ki judai ka kahun kis se main majra-e-gham
sail-e-sarishk-e-chashm-e-tar sham-o-sahar baha kiya
shakl-e-asa-e-musavi tha to vo gesu-e-daraz
par use dast-e-shana ne de ke kham aur duta kiya
zeb-e-sar-e-shahan kabhi tu ne na dekha tira-bakht
bal-e-magas ne kab dila kar-e-par-e-huma kiya
tar-e-nafas ulajh gaya mere gulu men aa ke jab
nakhun-e-tegh-e-yar ko main ne girah-kusha kiya
bosa-e-lab se ek din us ke hua na kamyab
dilbar-e-bad-zaban ki main galiyan hi suna kiya
aa ke salasil ai junun kyuun na qadam le baad-e-qais
is ka bhi ham ne silsila az-sar-e-nau bapa kiya
munh to na tha ye ghair ka us ko khilae barg-e-pan
par na mira jo bas chala khun-e-jigar piya kiya
us ki shikastagi ka gham kyuun na ho mujh ko saqiya
meri baghal men aah yaan shisha-e-dil raha kiya
tar-e-nafas juda kiya barbat-e-tan se mere aah
kaudak-e-mutrib aur kya tujh ko kahun baja kiya
koh ko khinchta jo tu kah-ruba to jante
ik par-e-kah ko utha naaz kiya to kya kiya
kyuun ho khizr-e-rah-ravan khak-nashini pe miri
jis ne ba-shakl-e-naqsh-e-pa mujh ko hai rahnuma kiya
shola-rukhon ke ishq ne kunj-e-mazar men bhi aah
sone diya na chain se main to sada jala kiya
mujh ko hai hijr-o-vasl ek is ki khushi na us ka gham
kaisi musibaton ke din bar-e-khuda bhara kiya
vasl hua to ye hua mar-e-siyah jaan kar
raat bhar apni zulf ke saae se vo dara kiya
aur main muddaa-talab aish se na-umid ho
shola-e-shama ki tarah sar ko pada dhuna kiya
mudrika-e-bashar hai kya paae jo us ki kunah ko
chaha jo us ne so kiya kaun kahe ki kya kiya
yaani bana ke chashm ko surat-e-shisha-e-hubab
sahib-e-zarf tha jo dil jam-e-jahan-numa kiya
apni shararaton se vo baaz na aaya ai ‘nasir’
mujh ko rula ke abr saan barq-e-namat hansa kiya
Leave a Reply