tujhe to aaj bhi ham be-shumar chahte hain
ik aur tarah ka lekin qarar chahte hain
hamara mas.ala ye hai ki shaam hote hi
ham apne aap se thoḌa farar chahte hain
palaTne vaale tujhe pahle hi bataya tha
kisi bhi shaḳhs ko ham ek baar chahte hain
ye log kyuun bhala thakte dikha.i dete nahin
ab aur kitna tira intizar chahte hain
hamare tajarbe itne ziyada Thiik nahin
so tujh se pyaar nahin e’tibar chahte hain
ḳhuda havas se bacha.e magar ka.i din se
tire badan pe bhi ham iḳhtiyar chahte hain
Leave a Reply