• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum

dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum

poet

dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se ham

charagar se dard-e-nalan dard se dil dil se ham

haae kya be-khud kiya hai ghaflat-e-umid ne

hal-e-dil kahte hain apna phir usi qatil se ham

rashk aada ne kiye raushan badan men ustukhvan

sham-e-mahfil ho ke utthe aap ki mahfil se ham

is ko kahte hain vafadari ki baad-az-qatl bhi

dagh-e-khun ho kar na chhute daman-e-qatil se ham

tuul thi rah-e-adam ghabra ke soe qabr men

paanv phailae thake jab duri-e-manzil se ham

jism-e-raushan se nazar aate hain jalve ruuh ke

husn-e-laila dekhte hain parda-e-mahmil se ham

khali az ehsan nahin ye bhi ki vaqt-e-iztirab

khush to ho jaate hain tere vada-e-batil se ham

aao aapas men samajh len ghair kaahe ko sune

tum kaho dil se hamare kuchh tumhare dil se ham

sun ke ro dete hain aksar surat-e-zakhm-e-jigar

aap sharmate hain apne khanda-e-batil se ham

rashk hai hasrat pe us ki dil men aata hai yahi

apne qalib ko badal len qalib-e-bismil se ham

sina-e-dil men hujum-e-dagh-e-hasrat hai ‘nasim’

phuul chun lete hain apne gulshan-e-hasil se ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Iza-Dahi Ki Dad Jo Pata Raha Hun Main

Saqiya Kis Ko Hawas Hai Ki Piyo Aur Pilao

Sanbhaalta Hai Tera Dast-E-Moatabar Mujhko

abrar-azmi

Khayal Lams Ka Kar-e-Sawab Jaisa Tha

hatim-ali-mehr

Gareban Hath Mein Hai Panw Mein Sahra Ka daman Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet