dekh maazi ke darichon ko kabhi khola na kar
bhagte lamhon ke pichhe is tarah dauḌa na kar
ai mire suraj mire saa.e ke derina rafiq
raste men raushni ban kar bikhar jaaya na kar
ye bhi mumkin hai tire divar-o-dar tere na hon
ghar ke andar baiTh kar tu is tarah roya na kar
kah liya kar gaahe gaahe tu koi achchhi ghazal
mahfil-e-sher-o-suḳhan se ḳhud ko yuun tanha na kar
kah rahi hai mujh se mere ghar ki tariki ‘faraz’
raat ho jaa.e to ghar se tu kahin jaaya na kar
Leave a Reply