dekh kar dil-kashi zamane ki
aarzu hai fareb khane ki
ai gham-e-zindagi na ho naraz
mujh ko aadat hai muskurane ki
zulmaton se na dar ki raste men
raushni hai sharab-khane ki
aa tire gesuon ko pyaar karun
raat hai mishalen jalane ki
kis ne saghar ‘adam’ buland kiya
tham gaiin gardishen zamane ki
Leave a Reply