dekh jurm-o-saza ki baat na kar
mai-kade men ḳhuda ki baat na kar
main to be-mehriyon ka aadi huun
mujh se mehr-o-vafa ki baat na kar
shauq-e-be-mudda.a ka maara huun
shauq-e-be-mudda.a ki baat na kar
vo to muddat hui ki TuuT gaya
mere dast-e-dua ki baat na kar
jo nahin iḳhtiyar men mere
us but be-vafa ki baat na kar
ishq ki intiha ko dekh zara
ishq ki ibtida ki baat na kar
kya mila fikr ki rasa.i se
meri fikr-e-rasa ki baat na kar
is ki taqdir men ḳharabi thi
is dil-e-mubtala ki baat na kar
jo bhi hona tha ho gaya ‘sho.ala’
karam-e-naḳhuda ki baat na kar
Leave a Reply