• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dekh Apne Qarar Karne Ko

dekh Apne Qarar Karne Ko

poet

dekh apne qarar karne ko

aur mire intizar karne ko

tumhen dekhe se kya tasalli ho

ji to hota hai pyaar karne ko

meri tadbir ik nahin karta

hain nasihat hazar karne ko

vo vo sadme sahe shab-e-gham men

chahiye din shumar karne ko

vo gar aaen to paas kya hai aur

ek jaan hai nisar karne ko

jhute vaade kiya na kiije aap

muft ummid-var karne ko

aap hain ruthne hi ko aur ham

minnaten baar baar karne ko

apni ayyariyon ko dekhen aap

aur mire e’tibar karne ko

dil bhi tera sa chahiye hai ‘nizam’

ishq ke ikhtiyar karne ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Na Paya Khoj Barson Naqsh-E-Pa-E-Raftagan dhundhe

poet

Tohmat-E-Hasrat-E-Parwaz Na Mujh Par Bandhe

Ek Taswir Ki Awwal Nahin Dekhi Jati

Muddaton Ke Baad Phir Kunj-E-Hira Raushan Hua

poet

Pitam Ke Dekhne Ke Tamasha Ko Jaen Chal

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet