dayar-e-jabr men bhi sar-nigun nahin hoti
ḳhulus ho to mohabbat zubun nahin hoti
kabhi kabhi to shab-e-gham ke sard lamhon men
tumhari yaad bhi vaj.h-e-sukun nahin hoti
mata.a-e-zarf ne jhukna hamen sikhaya hai
ki be-sharab surahi nigun nahin hoti
fareb deta hai jis tarah zindagi ka jamal
tiri nigah bhi yuun pur-fusun nahin hoti
faza ke jism men lakhon hi zaḳhm hain lekin
hamare dard ki tashrih yuun nahin hoti
hamara ‘baḳht’ hai zabt-e-davam ki tafsir
yahan numa.ish-e-soz-e-darun nahin hoti
Leave a Reply