• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dayar-E-Husn Mein Pabandi-E-Rasm-E-Wafa Kam Hai

Dayar-E-Husn Mein Pabandi-E-Rasm-E-Wafa Kam Hai

dayar-e-husn men pabandi-e-rasm-e-vafa kam hai

bahut kam hai bahut kam hai ba-hadd-e-intiha kam hai

jafa-e-be-sabab kam hai ki jaur-e-na-rava kam hai

tiri be-dad ai zalim na hone par bhi kya kam hai

kamal-e-dilbari men kaun si teri ada kam hai

na shoḳhi kam haya se hai na shoḳhi se haya kam hai

ba-kasrat sair ki hai har ravish gulzar-e-alam ki

yahan rang-e-mohabbat hai bahut bu-e-vafa kam hai

ḳhuda ke naam par dast-o-gireban hain ḳhuda vaale

bahut hai jis qadar zikr-e-ḳhuda ḳhauf-e-ḳhuda kam hai

azal se hoti aa.i hai abad tak hoti ja.egi

gunahgar-e-vafa par jis qadar bhi ho jafa kam hai

dua ko haath kyuun uTThe mire timar-daron ke

zaban se kyuun nahin kahte ki ummid-e-shafa kam hai

rahe kyunkar na bad-zan vo shah-e-husn ai ‘vafa’ mujh se

baḌa nadan hai sunta bahut hai dekhta kam hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Shab-E-Surur Nai Dastan Visal-O-Firaq

Hasin Yaaden Sunahre KHwab Pichhe chhoD Aae Hain

poet

dil Mein Tir-E-Ishq Hai Aur Farq Par Shamshir-E-Ishq

Kabhi Mili Hai Jo Fursat to Ye Hisab Kiya

Zamana Yaad Rakkhega Tumhein Ye Kaam Kar Jaana

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet