dava-e-dard-e-gham-o-iztirab kya deta
vo meri ankhon ko rangin khvab kya deta
thi meri ankhon ki qismat men tishnagi likkhi
vo apni diid ki mujh ko sharab kya deta
kiya saval jo main ne vafa ke qatil se
zaban pe qufl laga tha javab kya deta
main chahta tha ki us ko gulab pesh karun
vo khud gulab tha us ko gulab kya deta
vo jis ne dekha nahin ishq ka kabhi maktab
main us ke haath men dil ki kitab kya deta
mire nasib men mitti ka ik diya bhi na tha
tiri hatheli pe main aftab kya deta
main us se pyaas ka shikva na kar saka ‘afzal’
jo khud hi tishna tha vo mujh ko aab kya deta
Leave a Reply