saval karta nahin aur javab us ki talab
ki an-kahi ka bhi dohra azaab us ki talab
zamin-e-shor se konpal numu ki mangta hai
nihal-e-ḳhushk se taaza gulab us ki talab
vo aankh khulne ka bhi intizar karta nahin
darun-e-ḳhvab hi tabir-e-ḳhvab us ki talab
visal-rut ka har ik lamha us ke naam kiya
magar hai guzre dinon ka hisab us ki talab
‘shafiq’ din ka ujala tu paḌh nahin sakta
pas-e-ghurub bhi ik aftab us ki talab
Leave a Reply